Google Drive Use Kaise Kare Or Future Kya Kya Hai--VINAY COMPUTER

Admin Co-Vinay Kumar Verma
0
Google Drive Use Kaise Kare Or Future Kya Kya Hai--VINAY COMPUTER

kya aap janana chahte hai ki google drive kya hai aur iska use kaise aur kyo kare. to iss post ko last tak padhate rahiye.

Google Drive Kya Hai ?

agar aap computer use karte hai to drive ka matlab to samjhate hi honge.
 jab aap 'my computer' open karte hai to weha C, D, E, F etc drive bane hote hai. jeha aap apne files ko save yaa store karte hai.

google drive internet ki ek bahut hi important service jiska upyog karke aap apna koi bhi file, document online store or save kar sakte hai.

google drive bahut hi safe online drive hai jo aapko 15 GB storage space provide karta hai. jiska use karne ke liye aapko sirf apne email id se signin karna hota hai. 

Google drive se kya fayda hai? गूगल ड्राइव से क्या फायदा है ?
google drive par apne kisi bhi documents or file ko online save kar sakte hai. aur jarurat padane par aap kahin se bhi kisi bhi computer se open kar sakte hai.

aapka file google drive me puri tarh se safe rahata hai.

Google Drive ka Use Kaise kare- Steps.
गूगल ड्राइव का इस्तेमाल कैसे करे 
Step.1-

google drive use karne ke liye sabse pehale google drive ki website ko open kare:  https://drive.google.com/drive/

Step.2-
ab apko apne email id aur possword se login karna hoga.

agar aap gmail, youtube yaa google me pehale se login hai to aapko google drive ke liye dubara login nhi karna padega. website open hote hi sidha google drive ke dashboard me pahuch jayenge.

गूगल ड्राइव क्या है

Step.3-
aap jis bhi file ko google drive me save krna chahte hai usko upload kar sakte hai. 
'New' par click karke koi nya folder bana sakate hai. yaa fir uper image me dikhaye anusar 'my drive' me jaye..

1. My Drive Par click kare.
2. New Folders-  koi nya folder banane ke liye

3. Upload files-  agar aap kisi file ko google drive me save karna chahate hai to upload file par click kare.

4. Upload folders-  kisi folder ko bhi aap google drive me upload karke save kar sakte hai.

5. More- isme google forms, google drawing, google my maps jaise kuch important feature diya gya hai.

** iske alawa google drive me aur bhi bahut se feature hai (uper screenshot image me dekhe) jaise ki Google Docs, Google sheet, Google slides ke liye bhi option hai. 
aap inke help se kisi project, document , slides etc ko bhi taiyar karke online save kar sakte hai.

'Shared with me' par click karke aap jaan sakte hai ki aapke kis friend ne aapke sath kya share kiya.

Super Mario Game Android Mobile Par Khele Vinay Computer



गूगल ड्राइव में अपने फ़ाइल को अपलोड करे . Save Your Files In google drive-

Jaisa ki aap dekh sakte hai ki google drive se aap kisi file ko online store karne ke alawaa bhut se kaam kar sakte hai.  iske sabhi feature kafi achhe aur kaam ke hai. 

lekin mai google drive ka istemaal jyadatar apne important document, files ko store karne ke liye karta hai. 
aap bhi apne sabhi jaruri documents ko google drive me upload kar sakte hai jisase agar aapko kabhi jarurat padhe to aap uska aasani se online use kar sake. 

# आप चाहे तो अपने कंप्यूटर में google ड्राइव का software भी इंस्टाल कर सकते है . You can also install google drive software in your PC .
file sharing service, online collaboration
internet storage, free online data storage, free online storage
1. google drive ko apne computer me install karne ke liye Yeha click kare. 
ya iss url ko google me type kare 
https://www.google.co.in/drive/download/

2. 'Download drive for PC' button par click kijiye. yeh sirf 0.96 MB k software hai. download karne ke bad google drive ko apne PC me install kar kijiye.

3.google drive ki apke PC me ek folder ban jayegi. ab apko jo kuchh bhi save karna chahte hai isme upload kar dijiye. aur file kuchh hi samaya me online save ho jayigi.

4. aap apne android phone ya tablet me bhi google drive install kar sakte hai. iske liye aap 'google play store' se google drive download karke install kar lijiye. 'Googel drive' app bilkul free hai. 

ab aapne sikh liya ki google drive kya hai aur google drive ka use kaise karte hai. (what is google drive and how to use it)


agar aapka koi sawal ho to niche comment jarur kar sakte hai.


Gum Huve Phone Kao Kaise Lock Kare Vinay Computer



Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.

यह पोस्ट आपको कैसी लगी Comment Box में अपना राय जरुर दे
तो मेरे FACEBOOK PAGE को LIKE करे SHARE करे COMMENT करे

Visit Now:- Vinaycomputer.in
Thank You..

यह पोस्ट आपको कैसी लगी Comment Box में अपना राय जरुर दे
तो मेरे FACEBOOK PAGE को LIKE करे SHARE करे COMMENT करे

Visit Now:- Vinaycomputer.in
Thank You..

Post a Comment (0)

(WELLCOME FRINDS) VinaY ComputeR No(01)Website &Mai Apako New New Jankari Deta Raho Ga & To Koe Bhi Taklif Ho To Comments Kare Like Kare Share Kare Thank You.....

About Post By Admin:-Vinay Kumar Verma

captain_jack_sparrow___vectorदोस्‍तो आप को इस ब्‍लोग के जरीये मेरे पास जो भी जानकारी है कम्‍प्‍यूटर के बारे में या जो भी जानकारी मुझे मिलती है वो जानकारी आप तक पहुचाने का प्रयास करूगा इस ब्‍लोग से आप को कम्‍प्‍यूटर से जुडी जानकारी ही नही और भी जानकारी मिलेगी आप को इस ब्‍लोग पर आने के लिये धन्‍यवाद

Followers

Our website uses cookies to enhance your experience. Learn More
Accept !